Suno Suno Ek Kahani Suno Bhajan In English
Also Read This In:- Hindi.
Suno Suno, Suno Suno
Suno Suno Ek Kahani Suno,
Na Raja Ki Na Rani Ki,
Na Aag Hawa Na Pani Ki,
Na Krshna Ki Na Radha Rani Ki,
Doodh Chhalakta Hai Aanchal Se Ho O O,
Doodh Chhalakta Hai Aanchal Se,
Aankh Se Barse Pani,
Maa Ki Mamta Ki Hai Ye Kahani,
Suno Suno Ek Kahani Suno ॥
Ek Bhakt Jo Din Hin Tha,
Katre Mein Rahta Tha,
Maa Ke Gun Gata Tha,
Maa Ke Charan Sada Kahta Tha,
Suno Suno Suno Suno,
Ek Baar Bhairav Ne Usse Kaha Ki Kal Aaenge,
Kai Sadhuo Sahit Tumhare Ghar Khana Khayenge,
Maa Ke Bhakt Ne Socha Kaise Unka Aadar Hoga,
Bin Bhojan Ke Sadhujanon Ka Bada Niradar Hoga,
Suno Suno, Suno Suno
Mata Se Vinti Ki Usne Ann Kahan Se Laun,
Main to Khud Bhukha Hoon Bhojan Kaise Unhen Khilaun,
Maa Ne Kaha Tu Chinta Mat Kar Kal Tu Unhen Bulana,
Unke Saath Ye Sara Gaanv Khayega Tera Khana,
Suno Suno, Suno Suno
Naman Kiya Usne Mata Ko Aa Gaya Ghar Bechara,
Dooje Din Dekha Kya Usne Bhara Hai Sab Bhandara,
Suno Suno, Suno Suno
Us Bhairav Ne Jisne Ye Sara Shadyantr Rachaya,
Kai Sadhuo Sahit Jeemane Ghar Uske Vo Aaya,
Ati Shuddh Bhojan Ko Dekh Ke Bola Maans Khilao,
Jao Hamare Liye Kaheen Se Madira Le Kar Aao,
Suno Suno, Suno Suno
Aag Baboola Ho Gaya Jab Usne Dekha Bhandara,
Krodh Se Bharke Jor Se Usne Mata Ko Lalkara,
Maa Aai to Usne Kas Ke Maa Ke Hath Ko Pakada,
Hath Chhuda Kar Bhagi Mata Dekh Raha Tha Katra,
Apni Raksha Ke Khatir Ek Chamatkar Dikhlaya,
Vo Asthan Chhupi Jaha Mata Garbajoon Kahlaya,
No Maas Ka Chhupkar Maa Ne Wahi Samay Gujara,
Samay Hua Pura Tab Maa Ne Bhairav Ko Sanhara,
Dhad Se Sar Ko Juda Kiya Thi Jwala Maa Ke Andar,
Jaha Gira Sar Bhairav Ka Wahan Bana Hai Bhairav Mandir,
Suno Suno, Suno Suno
Aprampar Hai Maa Ki Mahima Jo Katre Mein Aaye,
Maa Ke Darshan Karke Phir Bhairav Ke Mandir Jaye,
Suno Suno Suno Suno,suno Suno Suno Suno,
Suno Suno Ek Kahani Suno ॥
Suno Suno, Suno Suno
Suno Suno Ek Kahani Suno,
Na Raja Ki Na Rani Ki,
Na Aag Hawa Na Pani Ki,
Na Krshna Ki Na Radha Rani Ki,
Doodh Chhalkta Hai Aanchal Se Ho O O,
Doodh Chhalkta Hai Aanchal Se,
Aankh Se Barse Pani,
Maa Ki Mamta Ki Hai Ye Kahani,
Suno Suno Ek Kahani Suno ॥