Shyama Aan Baso Vrindavan Me Bhajan In English

Also Read This In:- Hindi.

Shyama Aan Bason Vrindavan Mein,
Meri Umar Beet Gayi Gokul Mein ।
Shyama Raste Mein Baag Laga Jaana,
Phul Binugi Teri Mala Ke Liye ।
Teree Baat Nihaaroon Kunjan Mein,
Meri Umar Beet Gayi Gokul Mein ॥

Shyama Aan Bason Vrindavan Mein,
Meri Umr Beet Gayi Gokul Mein ।

Shyama Raste Mein Kuaan Khudva Jaana,
Main to Neer Bharungi Tere Liye ।
Main Tujhe Nahlaungi Mal-mal Ke,
Meri Umar Beet Gayi Gokul Mein ॥

Shyama Aan Bason Vrindavan Mein,
Meri Umar Beet Gayi Gokul Mein ।

Shyama Murali Madhur Suna Jaana,
Mohe Aake Darash Dikha Jaana ।
Teri Surat Basi Hai Ankhiyan Mein,
Meri Umar Beet Gayi Gokul Mein ॥

Shyama Aan Bason Vrindavan Mein,
Meri Umar Beet Gayi Gokul Mein ।

Shyama Vrindavan Mein Aa Jaana,
Aakar Ke Raas Racha Jaana ।
Sooni Gokul Ki Galiyan Mein,
Meri Umar Beet Gayi Gokul Mein ॥

Shyama Aan Bason Vrindavan Mein,
Meri Umar Beet Gayi Gokul Mein ।

Shyama Makhan Churane Aa Jaana,
Aakar Ke Dahi Bikhra Jaana ।
Bas Aap Raho Mere Man Mein,
Meri Umar Beet Gayi Gokul Mein ॥

Shyama Aan Bason Vrindavan Mein,
Meri Umar Beet Gayi Gokul Mein ।

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *