Kabhi Fursat Ho To Jagdambe Bhajan In English

Also Read This In:- Hindi.

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe,
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana ।
Jo Rookha Sookha Diya Hamen,
Kabhi Us Ka Bhog Laga Jana ॥
Na Chhatr Bana Saka Sone Ka,
Na Chunri Ghar Mere Taaron Jadi ।
Na Pede Barphi Mewa Hai Maa,
Bas Shraddha Hai Nain Bichhaye Khade ॥
Iss Shraddha Ki Rakh Lo Laaj Hai Maa,
Is Vinti Ko Na Thukra Jana ।
Jo Rookha Sookha Diya Hamen,
Kabhi Us Ka Bhog Laga Jana ॥

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe,
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana ।

Jis Ghar Ke Diye Main Tel Nahin,
Wahan Jot Jagaon Kaise ।
Mera Khud Hi Bishona Darati Maa,
Teri Chonki Lagaoon Mai Kaise ॥
Jahan Mai Baitha Wahi Baith Ke Maa,
Bachchon Ka Dil Bahala Jana ।
Jo Rookha Sookha Diya Hamen,
Kabhi Us Ka Bhog Laga Jana ॥

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe,
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana ।

Tu Bhagya Banaane Wali Hai,
Maa Mai Takdeer Ka Mara Hoon ।
Hai Daati Sambhaal Bhikari Ko,
Aakhir Teri Aankh Ka Tara Hoon ॥
Mai Doshi Tu Nirdosh Hai Maa,
Mere Doshon Ko Tu Bhula Jana ।
Jo Rookha Sookha Diya Hamen,
Kabhi Us Ka Bhog Laga Jana ॥

Kabhi Phursat Ho to Jagdambe,
Nirdhan Ke Ghar Bhi Aa Jana ।
Jo Rookha Sookha Diya Hamen,
Kabhi Us Ka Bhog Laga Jana ॥

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *