Yehi Raat Antim Yehi Raat Bhaari Bhajan In English

Also Read This In:- Hindi.

Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari,
Bas Ek Raat Ki Ab Kahani Hai Saari,
Yahi Raat Antim Yaheen Raat Bhaari ॥
Nahin Bandhu Bandhav Na Koi Sahayak,
Akela Hai Lanka Mein Lanka Ka Nayak,
Sabhi Ratna Bahumooly Ran Mein Ganvaye,
Lage Ghav Aise Ki Bhar Bhi Na Paye,
Dashanan Isi Soch Mein Jaagta Hai,
Ki Jo Ho Raha Uska Parinam Kya Hai,
Ye Baaji Abhi Tak Na Jeeti Na Haari,
Yahi Raat Antim Yaheen Raat Bhaari ॥

Vo Bhagwan Manav to Samajhyega Itna,
Ki Manav Ke Jeevan Mein Sangharsh Kitna,
Vijay Antatah Dharm Veeron Ki Hoti,
Par Itna Sahaj Bhi Nahi Hai Ye Moti,
Bahut Ho Chuki Yuddh Mein Vyarth Haani,
Pahunch Jaye Parinaam Tak Ab Kahani,
Vachan Poorn Ho Devta Ho Sukhaari,
Yahi Raat Antim Yaheen Raat Bhaari ॥

Samar Mein Sada Ek Hi Paksh Jeeta,
Jai Hogi Mandodari Ya Ke Sita,
Kisi Maang Se Uski Laali Mitegi,
Koi Ek Hi Kal Suhaagan Rahegi,
Bhala Dharm Se Paap Kab Tak Ladega,
Ya Jhukna Padega Ya Mitaana Padega,
Vichaaron Mein Mandodari Hai Bechaari,
Yahi Raat Antim Yaheen Raat Bhaari ॥

Ye Ek Raat Maano Yugo Se Badi Hai,
Ye Sita Ke Dheeraj Ki Antim Ghadi Hai,
Prateeksha Ka Vish Aur Kitna Piyegi,
Bina Praan Ke Deh Kaise Jiyegi,
Kahe Ram Ram Ab to Ram Aa Bhi Jao,
Dikhao Darash Ab Na Itna Rulao,
Kee Ro Ro Ke Mar Jaye Sita Tumhari,
Yahi Raat Antim Yaheen Raat Bhaari ॥

Yahi Raat Antim Yahi Raat Bhaari,
Bas Ek Raat Ki Ab Kahani Hai Saari,
Yahi Raat Antim Yaheen Raat Bhaari ॥

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *