Kuber Aarti In English
Also Read This In:- Hindi.
The auspicious beginning of Deepawali, the biggest festival of India, begins on Dhanteras. Goddess Lakshmi, Lord Kubera and Shri Ganesha are worshiped with Aarti during this Dhanteras festival.
Om Jai Yaksh Kuber Hare,
Swami Jai Yaksh Kuber Hare।
Sharan Pade Bhagato Ke,
Bhandar kuber Bhare॥
॥ Om Jai Yaksh Kuber Hare…॥
Shiv Bhakto Me Bhakt Kuber Bade,
Swami Bhakta Kuber Bade ।
Daitya Danav Manav Se,
Kai-Kai Yuddh Lade ॥
॥ Om Jai Yaksh Kuber Hare…॥
Swarn Sinhasan Baithe,
Sir Par Chhatra Phire,
Swami Sir Par Chhatra Phire ।
Yogini Mangal Gavain,
Sab Jai Jai Kar Karain ॥
॥ Om Jai Yaksh Kuber Hare…॥
Gada Trishul Hath Me,
Shastra Bahut Dhare,
Swami Shastra Bahut Dhare ।
Sukh Bhay Sankat Mochan,
Dhanush Tankar Bhare ॥
॥Om Jai Yaksh Kuber Hare…॥
Bhanti Bhanti Ke Vyanjan Bahut Bane,
Swami Vyanjan Bahut Bane ।
Mohan Bhog Lagavain,
Sath Me Urad Chane ॥
॥ Om Jai Yaksh Kuber Hare…॥
Bal Buddhi Vidya Data,
Ham Teri Sharan Pade,
Swami Ham Teri Sharan Pade|
Apane Bhakt Jano Ke,
Sare Kam Sanvare ॥
॥ Om Jai Yaksh Kuber Hare…॥
Mukut Mani Ki Shobhaa,
Motiyan Haar Gale,
Swami Motiyan Haar Gale ।
Agar Kapur Ki Baati,
Ghee Ki Jot Jale ॥
॥Om Jai Yaksh Kuber Hare…॥
Yaksha Kuber Ki Aarati Jo Koi Nar Gaave,
Swami Jo Koi Nar Gaave ।
Kahat Prempaal Swami,
Manavaanchhit Phal Paave ।
॥Om Jai Yaksh Kuber Hare…॥
Mukut Mani Ki Shobha,
Motiyan Haar Gale,
Swami Motiyan Haar Gale ।
Agar Kapur Ki Bati,
Ghee Ki Jot Jale ॥
॥ Om Jai Yaksh Kuber Hare…॥
Yaksha Kuber Ki Aarti,
Jo Koi Nar Gave,
Swami Jo Koi Nar Gave ।
Kahat Prempal Swami,
Manavanchhit Phal Pave ।
॥ Om Jai Yaksh Kuber Hare…॥
॥ Eti Shri Kuber Aarti ॥