Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge Bhajan In English

Also Read This In:- Hindi.

Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge,
Lataon Mein Brj Ki Gujara Karenge ।
Kahin to Milenge Vo Banke Bihari,
Kahin to Milenge Vo Banke Bihari,
Unhi Ke Charan Chit Lagaya Karenge
Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge,
Lataon Mein Brj Ki Gujara Karenge ।
Bana Karke Hriday Mein Ham Prem Mandir
Waheen Unko Jhoola Jhulaya Karenge
॥ Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge… ॥

Unhen Ham Bithayenge Aankhon Mein Dil Mein
Unhi Se Sada Lau Lagaya Karenge
॥ Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge… ॥

Jo Ruthenge Hamae Vo Banke Bihari
Charan Ko Pakad Ham Manaya Karenge
॥ Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge… ॥

Unhen Prem Dor Se Ham Bandh Lenge
To Phir Vo Kaha Bhag Jaaya Karenge
॥ Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge… ॥

Unhonne Chhudaye the Gaj Ke Vo Bandhan
Wahi Mere Sankat Mitaya Karenge
॥ Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge… ॥

Unhonne Nachaya Tha Brahmand Sara
Magar Ab Unhen Ham Nachaya Karenge
॥ Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge… ॥

Bhajenge Jaha Prem Se Nand Nandan
Kanhaiya Chhavi Ko Dikhaya Karenge

Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge,
Lataon Mein Brj Ki Gujara Karenge ।
Kahin to Milenge Vo Banke Bihari,
Kahin to Milenge Vo Banke Bihari,
Unhi Ke Charan Chit Lagaya Karenge
Kanhaiya Kanhaiya Pukara Karenge,
Lataon Mein Brj Ki Gujara Karenge ।

Similar Posts

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *